Pages

Larkiyan or bewafaai

Tuesday 5 March 2013
zamane ne to ilzaam laga diya hum par
ladkiyan bewaffa hoti hain !!!!!
zamane ko nahi pata bewaffa hona aasan nahi
iss vaaste kitna dard sehna hota hai !!!!!!
kisi ka vada todna hota hai
aise jaise jism se sara lahu nilkal jata hai !!!!!
baba ke aasuon ki keemat chukana hoti hai
jaise bachpan ke karz utarna hote hain !!!!!
mamta ki laaj ka vasta diya jata hai
jaise har simt khud ko aag mein jalaana hota hai !!!!!
phir bhi bewaffai karti hain ladkiyan
saja kar labon par tabassum ko
apne kaleje ko seene ko chalni karke
haan zamana theek hi kahta hai
ladkiyan bewaffa hoti hain !!!!!! 

No comments: